|
|
||
| Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya, Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya, Ta-umar dhoondta raha manzil main ishq ki, Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya, Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada, Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya, “Faakir” sanam kade mein na aata main lot kar, Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya. |
||