|
|
||
| Toot jaate hain sabhi rishte mager Dil se dil ka raabta apni jagah Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen Tujh se milne ki dua apni jagah Mast nazron se dekh lenaa tha Ager tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki Chehrey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyaar bhi hai, Is shauq_e_ada ko kya kahiye Inkar bhi hai iqraar bhi hai, Kal mila waqt to zufain suljha doonga Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main Dil ko manana gar hota aaasaaan Na karta kisi ko yoon ye pareshaan Tanha na rahta bhari mehfil main Na hoti woh halat jo ho na bayaan Khudaa jab husn deta hai Nazaakat aaa hee jati hai Kadam chun chun kar rakhti ho Kamar balkha he jaati hai |
||